Tuesday, October 21, 2008

Ghum ko seene main daba rakha hai...

dil ki chaukhat pe ik deep jala rakha hai
tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
    
saans tak bhi nahin lete aapko sochte waqt
humne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
rooth jati ho to kuch aur hasin lagti ho
ye soch ke hi aapko khafa rakha hai
 
tum jise rota hua chhorr gayi thi ik din
humne us shaam ko seeney se laga rakha hai
chein nahin lene deta yeh kisi tor mujhe
aapki yadoon ne jo tufaan utha rakha hai
 
jaane wale ne kaha tha ki woh aayega zaroor
ek isi aas pe darwaza khula rakha hai
aapke jane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
humne us dhool ko aakhon mei basa rakha hai
 
mujhko kal shaam se woh yaad bohot aane laga
dil ne muddat se jo ek shaksa bhula rakha hai
aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasei
mai ne is khat ko kaleje se laga rakha hai

dil ki chaukhat pe ik deep jala rakha hai
tere laut aane ka imkaan saja rakha hai

3 comments:

  1. Dev Sahib, Gum Bhi Kabhi Kabhi Khoobsoorat lagta hai... Tabhi Toh Itni Khoobsoorat Shayari Ko Syahi Ki Kuch Boondein Mil Paati Hai

    ReplyDelete
  2. They are not words or any form of art priyank...they are small droplets of blood straight from my heart..

    ReplyDelete